ye lal Dibiya mein jo paDi hai wo munh dikhai paDi rahegi
ye laal Dibiyā meñ jo paḌī hai vo muñh dikhā.ī paḌī rahegī
jo maiñ bhī rūThā to sub.h tak tū sajī sajā.ī paḌī rahegī
na tū ne pahne jo apne hāthoñ meñ merī in uñgliyoñ ke kangan
to soch le kitnī suunī suunī tirī kalā.ī paḌī rahegī
hamāre ghar se yuuñ bhaag jaane pe kyā banegā maiñ sochtā huuñ
mohalle-bhar meñ ka.ī mahīnoñ talak dahā.ī paḌī rahegī
jahāñ pe cup ke kināre par ek lipstick kā nishān hogā
vahīñ pe ik do qadam kī duurī pe ek tie paḌī rahegī
har ek khāne se pahle jhagḌā khilā.egā kaun pahle luqma
hamāre ghar meñ to aisī bātoñ se hī laḌā.ī paḌī rahegī
aur ab miThā.ī kī kyā zarūrat maiñ tujh se mil-jul ke jā rahā huuñ
magar hai afsos tere hāthoñ kī ras malā.ī paḌī rahegī
mujhe to office ke aaTh ghanToñ se hol aatā hai soch kar ye
hamāre mābain roz barsoñ kī ye judā.ī paḌī rahegī
jo merī maano to mere office maiñ koī marzī kī job kar lo
ki ham ne kyā kām-vām karnā hai kāravā.ī paḌī rahegī
hamāre sapne kuchh is tarah se jagā.e rakkheñge raat saarī
ki din chaḌhe tak to merī bāhoñ meñ kasmasā.ī paḌī rahegī
is ek bistar pe aaj koī na.ī kahānī janm na le le
agar yuuñ hī is pe silvaToñ se bharī razā.ī paḌī rahegī
mirī mohabbat ke tiin darje haiñ sahl mushkil yā ġhair-mumkin
to ek hissa hī jhel pā.egī do tihā.ī paḌī rahegī
ye lal Dibiya mein jo paDi hai wo munh dikhai paDi rahegi
jo main bhi ruTha to subh tak tu saji sajai paDi rahegi
na tu ne pahne jo apne hathon mein meri in ungliyon ke kangan
to soch le kitni suni suni teri kalai paDi rahegi
hamare ghar se yun bhag jaane pe kya banega main sochta hun
mohalle-bhar mein kai mahinon talak dahai paDi rahegi
jahan pe cup ke kinare par ek lipstick ka nishan hoga
wahin pe ek do qadam ki duri pe ek tie paDi rahegi
har ek khane se pahle jhagDa khilaega kaun pahle luqma
hamare ghar mein to aisi baaton se hi laDai paDi rahegi
aur ab miThai ki kya zarurat main tujh se mil-jul ke ja raha hun
magar hai afsos tere hathon ki ras malai paDi rahegi
mujhe to office ke aaTh ghanTon se hol aata hai soch kar ye
hamare mabain roz barson ki ye judai paDi rahegi
jo meri mano to mere office main koi marzi ki job kar lo
ki hum ne kya kaam-wam karna hai karawai paDi rahegi
hamare sapne kuchh is tarah se jagae rakkhenge raat sari
ki din chaDhe tak to meri bahon mein kasmasai paDi rahegi
is ek bistar pe aaj koi nai kahani janm na le le
agar yun hi is pe silwaTon se bhari razai paDi rahegi
meri mohabbat ke tin darje hain sahl mushkil ya ghair-mumkin
to ek hissa hi jhel paegi do tihai paDi rahegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.