ye lagta hai ab bhi kahin kuchh bacha hai
ye lagtā hai ab bhī kahīñ kuchh bachā hai
tumhārā diyā zaḳhm ab tak harā hai
kaho kaun sī shakl dekhoge ab tum
ye chehra to ik āvran se Dhakā hai
lagā hai zamāna ibādat meñ jis kī
vo rahtā kahāñ hai tumheñ kuchh patā hai
gunāhoñ se tauba karo vaqt rahte
vagarna to dozaḳh kā rasta khulā hai
mohabbat mohabbat mohabbat mohabbat
amaañ yaar chhoḌo ye halkā nasha hai
bhalā.ī karo to mile hai burā.ī
ye qissa mirī zindagī se juḌā hai
ġhalat-fahmiyāñ 'mīt' rakkho na dil meñ
vahī sach nahīñ jitnā tum ne sunā hai
ye lagta hai ab bhi kahin kuchh bacha hai
tumhaara diya zaKHm ab tak hara hai
kaho kaun si shakl dekhoge ab tum
ye chehra to ek aawran se Dhaka hai
laga hai zamana ibaadat mein jis ki
wo rahta kahan hai tumhein kuchh pata hai
gunahon se tauba karo waqt rahte
wagarna to dozaKH ka rasta khula hai
mohabbat mohabbat mohabbat mohabbat
aman yar chhoDo ye halka nasha hai
bhalai karo to mile hai burai
ye qissa meri zindagi se juDa hai
ghalat-fahmiyan 'mit' rakkho na dil mein
wahi sach nahin jitna tum ne suna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.