ye log DhunD rahe hain yahan wahan mujhko
ye log DhūñD rahe haiñ yahāñ vahāñ mujh ko
talāsh karte nahīñ apne darmiyāñ mujh ko
maiñ agle pichhle zamānoñ se ho ke aayā huuñ
kahīñ nazar nahīñ aa.e haiñ raftagāñ mujh ko
vo jis meñ lauT ke aatī thī ek shahzādī
abhī talak nahīñ bhūlī vo dāstāñ mujh ko
ye kis ne kar diyā saiqal zamīñ kā ā.īna
tah-e-zamīñ nazar aatā hai āsmāñ mujh ko
ajiib shaḳhs hai jis ne kahīñ nahīñ jaanā
ye kah ke dekhtā jaatā hai kārvāñ mujh ko
mujhe ḳhabar hai kahānī kā ant aa gayā hai
mujhe ḳhabar hai ki honā hai rā.egāñ mujh ko
ye log DhunD rahe hain yahan wahan mujh ko
talash karte nahin apne darmiyan mujh ko
main agle pichhle zamanon se ho ke aaya hun
kahin nazar nahin aae hain raftagan mujh ko
wo jis mein lauT ke aati thi ek shahzadi
abhi talak nahin bhuli wo dastan mujh ko
ye kis ne kar diya saiqal zamin ka aaina
tah-e-zamin nazar aata hai aasman mujh ko
ajib shaKHs hai jis ne kahin nahin jaana
ye kah ke dekhta jata hai karwan mujh ko
mujhe KHabar hai kahani ka ant aa gaya hai
mujhe KHabar hai ki hona hai raegan mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.