Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye mana ki hasti nahin jawedani

Amir Mausavi

ye mana ki hasti nahin jawedani

Amir Mausavi

MORE BYAmir Mausavi

    ye maanā ki hastī nahīñ jāvedānī

    mohabbat hai lekin mirī ġhair-fānī

    zabāñ khul na paa.ī to dil kahānī

    sunāte rahe āñsuoñ zabānī

    mire ashk dāman se apne na poñchho

    thamegī na ashkoñ phir ye ravānī

    shikāyat nahīñ hai bhulā de agar

    na aa yaad mujh ko baḌī mehrbānī

    dil-e-zār ne fariyād āḳhir

    na maanī mirī baat ne na maanī

    gunāhoñ ke qābil na tiflī na piirī

    na tauba pe maa.il hai apnī javānī

    milā un ko jalva jo hosh apne kho.e

    milī hosh-mandī ko bas lan-tarānī

    nazar uTh rahī hai udhar gāhe-gāhe

    zabāñ ban rahī hai mirī be-zabānī

    gunahgār haiñ shaiḳh bachpan se shāyad

    guzartī hai tauba meñ un javānī

    kahānī kahīñ ban ga.ī hai haqīqat

    haqīqat kahīñ ban ga.ī hai kahānī

    mire haal par mehrbānī na kiije

    yahī aap hai baḌī mehrbānī

    mire naam par ḳhatm kar hai 'āmir'

    vafāoñ chheḌī hai jis ne kahānī

    ye mana ki hasti nahin jawedani

    mohabbat hai lekin meri ghair-fani

    zaban khul na pai to dil ki kahani

    sunate rahe aansuon ki zabani

    mere ashk daman se apne na ponchho

    thamegi na ashkon ki phir ye rawani

    shikayat nahin hai bhula de agar tu

    na aa yaad mujh ko baDi mehrbani

    dil-e-zar ki tu ne fariyaad aaKHir

    na mani meri baat tu ne na mani

    gunahon ke qabil na tifli na piri

    na tauba pe mail hai apni jawani

    mila un ko jalwa jo hosh apne khoe

    mili hosh-mandi ko bas lan-tarani

    nazar uTh rahi hai udhar gahe-gahe

    zaban ban rahi hai meri be-zabani

    gunahgar hain shaiKH bachpan se shayad

    guzarti hai tauba mein un ki jawani

    kahani kahin ban gai hai haqiqat

    haqiqat kahin ban gai hai kahani

    mere haal par mehrbani na kije

    yahi aap ki hai baDi mehrbani

    mere nam par KHatm kar di hai 'amir'

    wafaon ki chheDi hai jis ne kahani

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now