ye manta hun ki sau bar jhuT kahta hai
ye māntā huuñ ki sau baar jhuuT kahtā hai
magar ye sach hai vo tum se hī pyaar kartā hai
are vo hogā munāfiq tumhārā yaar nahīñ
har ek baat pe jo haañ meñ haañ milātā hai
kahūñ maiñ achchhā burā yā karūñ koī bakvās
mirā ḳhudā hī to har baat merī suntā hai
muāshare kā baḌā ek alamiya ye hai
yahāñ pe jurm ziyāda faroġh paatā hai
tumheñ zamīñ kā havāla to raas aayā nahīñ
vo āsmān bhalā kis ne jā ke dekhā hai
maiñ us ke hone pe kāmil yaqīn rakhtā huuñ
mire yaqīn pe vo bhī yaqīn rakhtā hai
ai merī huur tirā intizār hai ab bhī
tirā 'vaqār' abhī terī raah taktā hai
ye manta hun ki sau bar jhuT kahta hai
magar ye sach hai wo tum se hi pyar karta hai
are wo hoga munafiq tumhaara yar nahin
har ek baat pe jo han mein han milata hai
kahun main achchha bura ya karun koi bakwas
mera KHuda hi to har baat meri sunta hai
muashare ka baDa ek alamiya ye hai
yahan pe jurm ziyaada farogh pata hai
tumhein zamin ka hawala to ras aaya nahin
wo aasman bhala kis ne ja ke dekha hai
main us ke hone pe kaamil yaqin rakhta hun
mere yaqin pe wo bhi yaqin rakhta hai
ai meri hur tera intizar hai ab bhi
tera 'waqar' abhi teri rah takta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.