ye mahr o mah be-charagh aaise ki rakh ban kar bikhar rahe hain
ye mahr o mah be-charagh aaise ki rakh ban kar bikhar rahe hain
Sabir Waseem
MORE BYSabir Waseem
ye mahr o mah be-charāġh aaise ki raakh ban kar bikhar rahe haiñ
ham apnī jaañ kā diyā bujhā.e kisī galī se guzar rahe haiñ
ye dukh jo matlūb kā milā hai fishār apnī hī zaat kā hai
ki ham ḳhud apnī talāsh meñ haiñ aur apne sadmoñ se mar rahe haiñ
vajūd kyuuñ hai shuhūd kyuuñ hai sabāt kyā hai najāt kyā hai
inhī savāloñ kī aag le kar ham apnā isbāt kar rahe haiñ
ai vaqt ke be-qayās dhāre kidhar haiñ vo ham-nasab hamāre
jo ek zinda ḳhabar kī ḳhātir ḳhud aap se be-ḳhabar rahe haiñ
aziyyatoñ kā nuzūl mauqūf ḳhaak uḌāne hī par nahīñ hai
azaab un ko bhī to mile haiñ jo log apne hī ghar rahe haiñ
nazar meñ itnī shabāhateñ haiñ ki us kī pahchān kho ga.ī hai
samā.atoñ meñ hai shor itnā ki har sadā se mukar rahe haiñ
hamāre andar kā ḳhauf 'sābir' shikast dene lagā hai ham ko
lahū kī rut ab guzar ga.ī hai diloñ meñ sahrā utar rahe haiñ
ye mahr o mah be-charagh aaise ki rakh ban kar bikhar rahe hain
hum apni jaan ka diya bujhae kisi gali se guzar rahe hain
ye dukh jo matlub ka mila hai fishaar apni hi zat ka hai
ki hum KHud apni talash mein hain aur apne sadmon se mar rahe hain
wajud kyun hai shuhud kyun hai sabaat kya hai najat kya hai
inhi sawalon ki aag le kar hum apna isbaat kar rahe hain
ai waqt ke be-qayas dhaare kidhar hain wo ham-nasab hamare
jo ek zinda KHabar ki KHatir KHud aap se be-KHabar rahe hain
aziyyaton ka nuzul mauquf KHak uDane hi par nahin hai
azab un ko bhi to mile hain jo log apne hi ghar rahe hain
nazar mein itni shabahaten hain ki us ki pahchan kho gai hai
samaaton mein hai shor itna ki har sada se mukar rahe hain
hamare andar ka KHauf 'sabir' shikast dene laga hai hum ko
lahu ki rut ab guzar gai hai dilon mein sahra utar rahe hain
- Book : siip-volume-47 (Pg. 49)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.