ye mahshar-e-soz-o-saz kya hai
ye mahshar-e-soz-o-sāz kyā hai
āḳhir mirā imtiyāz kyā hai
dil mahv-e-sadā-e-dard kyuuñ hai
ye arz-e-hunar-gudāz kyā hai
maf.hūm-e-navā-e-rāz kyā thā
āvāz-e-shikast-e-sāz kyā hai
Dartā huuñ ki apnā ġham na ho jaa.e
apne se ye ehtirāz kyā hai
pā kar bhī tujhe maiñ sochtā huuñ
miTne kā mire javāz kyā hai
ab tū jo milā to maiñ nahīñ huuñ
mujh se tirā imtiyāz kyā hai
kis kis ko bhulā chukā huuñ ai ġham
ye be-dilī-e-niyāz kyā hai
aksar to tirā burā bhī chāhā
kyā jāniye ḳhud pe naaz kyā hai
ye mahshar-e-soz-o-saz kya hai
aaKHir mera imtiyaz kya hai
dil mahw-e-sada-e-dard kyun hai
ye arz-e-hunar-gudaz kya hai
mafhum-e-nawa-e-raaz kya tha
aawaz-e-shikast-e-saz kya hai
Darta hun ki apna gham na ho jae
apne se ye ehtiraaz kya hai
pa kar bhi tujhe main sochta hun
miTne ka mere jawaz kya hai
ab tu jo mila to main nahin hun
mujh se tera imtiyaz kya hai
kis kis ko bhula chuka hun ai gham
ye be-dili-e-niyaz kya hai
aksar to tera bura bhi chaha
kya jaaniye KHud pe naz kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.