ye main bhi kya hun use bhul kar usi ka raha
ye maiñ bhī kyā huuñ use bhuul kar usī kā rahā
ki jis ke saath na thā ham-safar usī kā rahā
vo but ki dushman-e-dīñ thā ba-qaul nāseh ke
savāl-e-sajda jab aayā to dar usī kā rahā
hazār chāragaroñ ne hazār bāteñ kiiñ
kahā jo dil ne suḳhan mo'tabar usī kā rahā
bahut sī ḳhvāhisheñ sau bārishoñ meñ bhīgī haiñ
maiñ kis tarah se kahūñ umr bhar usī kā rahā
ki apne harf kī tauqīr jāntā thā 'farāz'
isī liye kaf-e-qātil pe sar usī kā rahā
ye main bhi kya hun use bhul kar usi ka raha
ki jis ke sath na tha ham-safar usi ka raha
wo but ki dushman-e-din tha ba-qaul naseh ke
sawal-e-sajda jab aaya to dar usi ka raha
hazar chaaragaron ne hazar baaten kin
kaha jo dil ne suKHan mo'tabar usi ka raha
bahut si KHwahishen sau barishon mein bhigi hain
main kis tarah se kahun umr bhar usi ka raha
ki apne harf ki tauqir jaanta tha 'faraaz'
isi liye kaf-e-qatil pe sar usi ka raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.