ye main hun tujh mein ab ya mujh mein tu hai
ye maiñ huuñ tujh meñ ab yā mujh meñ tū hai
ye kaun ab aa.ine meñ rū-ba-rū hai
ye dil hai aur hai terā tasavvur
zabāñ hai aur terī guftugū hai
unhīñ kā hai ye dil bhī aarzū bhī
na dil merā na merī aarzū hai
rahā kartā huuñ kuchh khoyā huā sā
ḳhudā jaane mujhe kyā justujū hai
huā huuñ maiñ fanā-fil-ishq 'bismil'
na ab dil hai na dil kī aarzū hai
ye main hun tujh mein ab ya mujh mein tu hai
ye kaun ab aaine mein ru-ba-ru hai
ye dil hai aur hai tera tasawwur
zaban hai aur teri guftugu hai
unhin ka hai ye dil bhi aarzu bhi
na dil mera na meri aarzu hai
raha karta hun kuchh khoya hua sa
KHuda jaane mujhe kya justuju hai
hua hun main fana-fil-ishq 'bismil'
na ab dil hai na dil ki aarzu hai
- Book : Kulliyat-e-bismil Saeedi (Pg. 260)
- Author : Bismil Saeedi
- Publication : Sahitya Akademi (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.