ye martaba koshish se mayassar nahin hota
ye martaba koshish se mayassar nahīñ hotā
har fāteh-e-ayyām sikandar nahīñ hotā
har roz na.ī jañg hai har roz na.ī jehd
kab apne muqābil koī lashkar nahīñ hotā
be-soche hue kaam to ho jaate haiñ saare
jo sochte haiñ ham vahī aksar nahīñ hotā
har pal vahī vahshat hai vahī raqs-e-sitam-nāk
kis lamha yahāñ fitna-e-mahshar nahīñ hotā
aa lete haiñ jazbāt ko chupke se kisī pal
un hādsoñ kā vaqt muqarrar nahīñ hotā
āvāra haiñ is aañkh se us aañkh talak ḳhvāb
jaise ki musāfir kā koī ghar nahīñ hotā
ye martaba koshish se mayassar nahin hota
har fateh-e-ayyam sikandar nahin hota
har roz nai jang hai har roz nai jehd
kab apne muqabil koi lashkar nahin hota
be-soche hue kaam to ho jate hain sare
jo sochte hain hum wahi aksar nahin hota
har pal wahi wahshat hai wahi raqs-e-sitam-nak
kis lamha yahan fitna-e-mahshar nahin hota
aa lete hain jazbaat ko chupke se kisi pal
un hadson ka waqt muqarrar nahin hota
aawara hain is aankh se us aankh talak KHwab
jaise ki musafir ka koi ghar nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.