ye mat samajh ki tere sath kuchh nahin karega
ye mat samajh ki tire saath kuchh nahīñ karegā
nizām-e-arz-o-samāvāt kuchh nahīñ karegā
ye terā maal kisī roz Das hī legā tujhe
agar tū is meñ se ḳhairāt kuchh nahīñ karegā
abhī piTārī to kholī nahīñ madārī ne
tū kah rahā hai kamālāt kuchh nahīñ karegā
mujhe yaqīn dilā sab rahegā vaisā hī
junūn-e-ahl-e-ḳharābat kuchh nahīñ karegā
hamīñ sabīl nikāleñge baiThne kī koī
vo shaḳhs bahr-e-mulāqāt kuchh nahīñ karegā
agar diloñ meñ lapaktī hai aag nafrat kī
to phir ye ahd-e-muvāḳhāt kuchh nahīñ karegā
ye mat samajh ki tere sath kuchh nahin karega
nizam-e-arz-o-samawat kuchh nahin karega
ye tera mal kisi roz Das hi lega tujhe
agar tu is mein se KHairaat kuchh nahin karega
abhi piTari to kholi nahin madari ne
tu kah raha hai kamalat kuchh nahin karega
mujhe yaqin dila sab rahega waisa hi
junun-e-ahl-e-KHarabat kuchh nahin karega
hamin sabil nikalenge baiThne ki koi
wo shaKHs bahr-e-mulaqat kuchh nahin karega
agar dilon mein lapakti hai aag nafrat ki
to phir ye ahd-e-muwaKHat kuchh nahin karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.