ye mausam-e-gul garche tarab-KHez bahut hai
ye mausam-e-gul garche tarab-ḳhez bahut hai
ahvāl-e-gul-o-lāla ġham-añgez bahut hai
ḳhush dāvat-e-yārāñ bhī hai yalġhār-e-adū bhī
kyā kījiye dil kā jo kam-āmez bahut hai
yuuñ pīr-e-muġhāñ sheḳh-e-haram se hue yak-jāñ
mai-ḳhāne meñ kam-zarfi-e-parhez bahut hai
ik gardan-e-maḳhlūq jo har haal meñ ḳham hai
ik bāzū-e-qātil hai ki ḳhūñ-rez bahut hai
kyuuñ mish.al-e-dil 'faiz' chhupāo tah-e-dāmāñ
bujh jā.egī yuuñ bhī ki havā tez bahut hai
ye mausam-e-gul garche tarab-KHez bahut hai
ahwal-e-gul-o-lala gham-angez bahut hai
KHush dawat-e-yaran bhi hai yalghaar-e-adu bhi
kya kijiye dil ka jo kam-amez bahut hai
yun pir-e-mughan sheKH-e-haram se hue yak-jaan
mai-KHane mein kam-zarfi-e-parhez bahut hai
ek gardan-e-maKHluq jo har haal mein KHam hai
ek bazu-e-qatil hai ki KHun-rez bahut hai
kyun mishal-e-dil 'faiz' chhupao tah-e-daman
bujh jaegi yun bhi ki hawa tez bahut hai
- Book : Nuskha ha-e Wafa (Pg. 539)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.