ye mera aks jo Thahra teri nigah mein hai
ye merā aks jo Thahrā tirī nigāh meñ hai
nahīñ hai pyaar to phir kyā tirī salāh meñ hai
nahīñ hai vaqt kī jur.at ki chhū sake us ko
ye terā husn ki jab tak mirī panāh meñ hai
nazar jo tujh pe ruke to zarā nahīñ suntī
kahāñ savāb meñ hai ye kahāñ gunāh meñ hai
zabāñ sambhāl ke ab naam le raqīb us kā
jo terā pyaar thā vo ab mire nikāh meñ hai
ye mera aks jo Thahra teri nigah mein hai
nahin hai pyar to phir kya teri salah mein hai
nahin hai waqt ki jurat ki chhu sake us ko
ye tera husn ki jab tak meri panah mein hai
nazar jo tujh pe ruke to zara nahin sunti
kahan sawab mein hai ye kahan gunah mein hai
zaban sambhaal ke ab nam le raqib us ka
jo tera pyar tha wo ab mere nikah mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.