ye mera shisha-e-dil be-misal hai pyare
ye merā shīsha-e-dil be-misāl hai pyāre
dikhā.ī de hai kahāñ jitnā baal hai pyāre
har ek baat ko likhnā muhāl hai pyāre
ḳhud aa ke dekh lo jo dil kā haal hai pyāre
jahāñ se chāhā hameñ laḳht laḳht kar Daalā
binā chhurī ke ye kaisā kamāl hai pyāre
miTā do husn-e-gulistāñ ko shoḳh phūloñ ko
ho lab-kushā koī kis kī majāl hai pyāre
jhulas ke rah ga.e gulshan meñ āshiyāñ kitne
tirī bahār meñ kitnā jalāl hai pyāre
kisī kā ḳhuun 'adālat meñ phir huā hogā
sutūn-e-dār-o-rasan laal laal hai pyāre
kahāñ kisī kī bhī sūrat dikhā.ī detī hai
har aa.ine meñ to terā jamāl hai pyāre
har ek saañs hai anfās-e-bāz-pas kī tarah
nizām-e-dam meñ damā-dam vabāl hai pyāre
vo aa ke lauT ga.e merī DevḌhī se 'sahar'
sukūn-e-dil ke liye nek-fāl hai pyāre
ye mera shisha-e-dil be-misal hai pyare
dikhai de hai kahan jitna baal hai pyare
har ek baat ko likhna muhaal hai pyare
KHud aa ke dekh lo jo dil ka haal hai pyare
jahan se chaha hamein laKHt laKHt kar Dala
bina chhuri ke ye kaisa kamal hai pyare
miTa do husn-e-gulistan ko shoKH phulon ko
ho lab-kusha koi kis ki majal hai pyare
jhulas ke rah gae gulshan mein aashiyan kitne
teri bahaar mein kitna jalal hai pyare
kisi ka KHun 'adalat mein phir hua hoga
sutun-e-dar-o-rasan lal lal hai pyare
kahan kisi ki bhi surat dikhai deti hai
har aaine mein to tera jamal hai pyare
har ek sans hai anfas-e-baz-pas ki tarah
nizam-e-dam mein dama-dam wabaal hai pyare
wo aa ke lauT gae meri DewDhi se 'sahar'
sukun-e-dil ke liye nek-fal hai pyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.