ye mere shahr ka ek aur hadisa hoga
ye mere shahr kā ik aur hādisa hogā
vo kal yahāñ mirā mehmān ban chukā hogā
talāsh meñ huuñ kisī kī maiñ kab se sargardāñ
usī tarah koī mujh ko bhī DhūñDhtā hogā
mirī tarah se koī chīḳhtā hai rāhoñ meñ
mirī tarah koī duniyā ko dekhtā hogā
lagā ke aa.egā chehra koī nayā shab meñ
vo jis ko baiTh ke din meñ tarāshtā hogā
shanāsā chehre bhī lagne lage haiñ begāne
ab apnā vaqt hī shāyad badal rahā hogā
udaas udaas sā khoyā huā sā rahtā hai
kuchh us se bhī koī kah kar badal gayā hogā
thakā thakā sā usī dar pe aa ke baiThā thā
na pūchhā hogā kisī ne to chal diyā hogā
jahāñ pahuñch ke qadam Dagmagā.e haiñ sab ke
usī maqām se ab apnā rāsta hogā
ye mere shahr ka ek aur hadisa hoga
wo kal yahan mera mehman ban chuka hoga
talash mein hun kisi ki main kab se sargardan
usi tarah koi mujh ko bhi DhunDhta hoga
meri tarah se koi chiKHta hai rahon mein
meri tarah koi duniya ko dekhta hoga
laga ke aaega chehra koi naya shab mein
wo jis ko baiTh ke din mein tarashta hoga
shanasa chehre bhi lagne lage hain begane
ab apna waqt hi shayad badal raha hoga
udas udas sa khoya hua sa rahta hai
kuchh us se bhi koi kah kar badal gaya hoga
thaka thaka sa usi dar pe aa ke baiTha tha
na puchha hoga kisi ne to chal diya hoga
jahan pahunch ke qadam Dagmagae hain sab ke
usi maqam se ab apna rasta hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.