ye mir-e-sitam-kushta kisu waqt jawan tha
ye 'mīr'-e-sitam-kushta kisū vaqt javāñ thā
andāz-e-suḳhan kā sabab shor o fuġhāñ thā
jaadū kī puḌī parcha-e-abyāt thā us kā
muñh takiye ġhazal paḌhte ajab sehr-bayāñ thā
jis raah se vo dil-zada dillī meñ nikaltā
saath us ke qayāmat kā sā hañgāma ravāñ thā
afsurda na thā aisā ki juuñ āb-zada ḳhaak
āñdhī thī balā thā koī āshob-e-jahāñ thā
kis martaba thī hasrat-e-dīdār mire saath
jo phuul mirī ḳhaak se niklā nigrāñ thā
majnūñ ko abas dāva-e-vahsaht hai mujhī se
jis din ki junūñ mujh ko huā thā vo kahāñ thā
ġhāfil the ham ahvāl-e-dil-e-ḳhasta se apne
vo ganj usī kunj-e-ḳharābī meñ nihāñ thā
kis zor se farhād ne ḳhārā-shikanī kī
har-chand ki vo bekas o be-tāb-o-tavāñ thā
go 'mīr' jahāñ meñ kinhoñ ne tujh ko na jaanā
maujūd na thā tū to kahāñ nām-o-nishāñ thā
ye 'mir'-e-sitam-kushta kisu waqt jawan tha
andaz-e-suKHan ka sabab shor o fughan tha
jadu ki puDi parcha-e-abyat tha us ka
munh takiye ghazal paDhte ajab sehr-bayan tha
jis rah se wo dil-zada dilli mein nikalta
sath us ke qayamat ka sa hangama rawan tha
afsurda na tha aisa ki jun aab-zada KHak
aandhi thi bala tha koi aashob-e-jahan tha
kis martaba thi hasrat-e-didar mere sath
jo phul meri KHak se nikla nigran tha
majnun ko abas dawa-e-wahsaht hai mujhi se
jis din ki junun mujh ko hua tha wo kahan tha
ghafil the hum ahwal-e-dil-e-KHasta se apne
wo ganj usi kunj-e-KHarabi mein nihan tha
kis zor se farhad ne KHara-shikani ki
har-chand ki wo bekas o be-tab-o-tawan tha
go 'mir' jahan mein kinhon ne tujh ko na jaana
maujud na tha tu to kahan nam-o-nishan tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.