ye mere chaar-su ek tamasha lage
ye mire chār-sū ik tamāshā lage
ālam-e-rañg-o-bū ik tamāshā lage
dekh chāroñ-taraf ik tamāshā lagā
chāhtā thā na to ik tamāshā lage
dar-haqīqat ye koī tamāshā nahīñ
jo tujhe hū-ba-hū ik tamāshā lage
rañg uḌnā munāsib hai mai-ḳhvār kā
TūTne se subū ik tamāshā lage
phūTe zaḳhm-e-jigar aur bahe aañkh se
taaza taaza lahū ik tamāshā lage
apne āshuftagāñ kī ḳhabar lene aa
yā tire rū-ba-rū ik tamāshā lage
jā ke allāh ke ghar manā.eñ use
aaj kar ke vuzū ik tamāshā lage
miTTī zarḳhez ho yā na ho dasht kī
bahar-zauq-e-numū ik tamāshā lage
ye mere chaar-su ek tamasha lage
aalam-e-rang-o-bu ek tamasha lage
dekh chaaron-taraf ek tamasha laga
chahta tha na to ek tamasha lage
dar-haqiqat ye koi tamasha nahin
jo tujhe hu-ba-hu ek tamasha lage
rang uDna munasib hai mai-KHwar ka
TuTne se subu ek tamasha lage
phuTe zaKHm-e-jigar aur bahe aankh se
taza taza lahu ek tamasha lage
apne aashuftagan ki KHabar lene aa
ya tere ru-ba-ru ek tamasha lage
ja ke allah ke ghar manaen use
aaj kar ke wuzu ek tamasha lage
miTTi zarKHez ho ya na ho dasht ki
bahar-zauq-e-numu ek tamasha lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.