ye mere ghar ke tin chaar daraKHt
ye mire ghar ke tiin chaar daraḳht
haiñ disāvar ke tiin chaar daraḳht
phir havā shāḳh shāḳh se lipTī
āshnā kar ke tiin chaar daraḳht
jaise kāġhaz kī ek do kaliyāñ
jaise patthar ke tiin chaar daraḳht
dasht darpesh hai so chaltā huuñ
aañkh meñ bhar ke tiin chaar daraḳht
shaah ne baaġh meñ ugaa.e haiñ
sang-e-marmar ke tiin chaar daraḳht
dasht-e-dil is qadar phalā-phūlā
dekhe mar mar ke tiin chaar daraḳht
āḳhirī vaqt bas havā.eñ thiiñ
aur sanobar ke tiin chaar daraḳht
ye mere ghar ke tin chaar daraKHt
hain disawar ke tin chaar daraKHt
phir hawa shaKH shaKH se lipTi
aashna kar ke tin chaar daraKHt
jaise kaghaz ki ek do kaliyan
jaise patthar ke tin chaar daraKHt
dasht darpesh hai so chalta hun
aankh mein bhar ke tin chaar daraKHt
shah ne bagh mein ugae hain
sang-e-marmar ke tin chaar daraKHt
dasht-e-dil is qadar phala-phula
dekhe mar mar ke tin chaar daraKHt
aaKHiri waqt bas hawaen thin
aur sanobar ke tin chaar daraKHt
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.