ye mere KHwab ki tabir nahin ho sakti
ye mire ḳhvāb kī ta.abīr nahīñ ho saktī
aap ke haath meñ shamshīr nahīñ ho saktī
mujh pe tanhā.ī meñ hairat kā ġhazab khultā hai
ab mire dard kī tash.hīr nahīñ ho saktī
dekh kar shahr ko vīrān ye sūraj ne kahā
vaqt ke paañv meñ zanjīr nahīñ ho saktī
tujh ko chhūne se machaltā hai ye ḳhushbū sā badan
mujh se ab ishq meñ taqsīr nahīñ ho saktī
ghar kī dīvār pe itrātī gilahrī dekho
ye kisī taur bhī tasvīr nahīñ ho saktī
is zamāne ko na.ī raah dikhānī hai mujhe
ab kahīñ koī bhī tāḳhīr nahīñ ho saktī
ye mere KHwab ki tabir nahin ho sakti
aap ke hath mein shamshir nahin ho sakti
mujh pe tanhai mein hairat ka ghazab khulta hai
ab mere dard ki tashhir nahin ho sakti
dekh kar shahr ko viran ye suraj ne kaha
waqt ke panw mein zanjir nahin ho sakti
tujh ko chhune se machalta hai ye KHushbu sa badan
mujh se ab ishq mein taqsir nahin ho sakti
ghar ki diwar pe itraati gilahri dekho
ye kisi taur bhi taswir nahin ho sakti
is zamane ko nai rah dikhani hai mujhe
ab kahin koi bhi taKHir nahin ho sakti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.