ye mirī bazm nahīñ hai lekin
dil lagā hai to lagā rahne do
jaane vāloñ kī taraf mat dekho
rañg-e-mahfil ko jamā rahne do
ek mela sā mire dil ke qarīb
ārzūoñ kā lagā rahne do
un pe phāyā na rakkho marham kā
mere zaḳhmoñ ko harā rahne do
dostāna hai shikasta jis se
us ko siine se lagā rahne do
hosh meñ hai to zamāna saarā
mujh ko dīvāna banā rahne do
jab chalo rāh-e-haqīqat pe koī
ḳhvāb āñkhoñ meñ basā rahne do
dil ke paanī meñ utāro mahtāb
is pyāle ko bharā rahne do
ye meri bazm nahin hai lekin
dil laga hai to laga rahne do
jaane walon ki taraf mat dekho
rang-e-mahfil ko jama rahne do
ek mela sa mere dil ke qarib
aarzuon ka laga rahne do
un pe phaya na rakkho marham ka
mere zaKHmon ko hara rahne do
dostana hai shikasta jis se
us ko sine se laga rahne do
hosh mein hai to zamana sara
mujh ko diwana bana rahne do
jab chalo rah-e-haqiqat pe koi
KHwab aankhon mein basa rahne do
dil ke pani mein utaro mahtab
is pyale ko bhara rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.