ye moajaza hai ki main raat kaT deta hun
ye mo.ajaza hai ki maiñ raat kaaT detā huuñ
na jaane kaise tilismāt kaaT detā huuñ
vo chāhte haiñ ki har baat maan lī jaa.e
aur ek maiñ huuñ ki har baat kaaT detā huuñ
namī sī tairtī rahtī hai merī āñkhoñ meñ
ba-iḳhtiyār maiñ barsāt kaaT detā hoñ
tirā ḳhayāl hī ab merā ism-e-āzam hai
isī se saare ḳhayālāt kaaT detā huuñ
ye raat kāTtī rahtī hai sub.h tak mujh ko
na jaane kaise maiñ har raat kaaT detā huuñ
ye moajaza hai ki main raat kaT deta hun
na jaane kaise tilismat kaT deta hun
wo chahte hain ki har baat man li jae
aur ek main hun ki har baat kaT deta hun
nami si tairti rahti hai meri aankhon mein
ba-iKHtiyar main barsat kaT deta hon
tera KHayal hi ab mera ism-e-azam hai
isi se sare KHayalat kaT deta hun
ye raat kaTti rahti hai subh tak mujh ko
na jaane kaise main har raat kaT deta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.