ye mohabbat hai dikhawa mat kaho
ye mohabbat hai dikhāvā mat kaho
merī vahshat ko tamāshā mat kaho
har kisī ko ḳhizr kā mat naam do
har añdhere ko ujālā mat kaho
ret meñ poshīda baiThe haiñ bhañvar
aise sāhil ko kinārā mat kaho
milnā-julnā rasm hai par dosto
har ishāre ko bulāvā mat kaho
milne aao tum agar mujh se to phir
mujh ko jaanā hai ḳhudārā mat kaho
us ke halke se tabassum ko 'kiran'
apne zaḳhmoñ kā mudāvā mat kaho
ye mohabbat hai dikhawa mat kaho
meri wahshat ko tamasha mat kaho
har kisi ko KHizr ka mat nam do
har andhere ko ujala mat kaho
ret mein poshida baiThe hain bhanwar
aise sahil ko kinara mat kaho
milna-julna rasm hai par dosto
har ishaare ko bulawa mat kaho
milne aao tum agar mujh se to phir
mujh ko jaana hai KHudara mat kaho
us ke halke se tabassum ko 'kiran'
apne zaKHmon ka mudawa mat kaho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.