ye muskuraate tamam sae hue parae to kya karoge
ye muskurāte tamām saa.e hue parā.e to kyā karoge
havā ne jab bhī mire badan ke diye bujhā.e to kyā karoge
tumhārī ḳhvāhish pe umr bhar kī judā.iyāñ bhī qubūl kar luuñ
magar batāo baġhair mere jo rah na paa.e to kyā karoge
vo jin meñ mere azaab tere sarāb ubhre yā ḳhvāb Duube
vo saare lamhe tumhārī jānib palaT ke aa.e to kyā karoge
baġhair dar ke kisī bhī ghar meñ ghire hue ho ye farz kar lo
aur aise aalam meñ mil sake na jo merī raa.e to kyā karoge
abhī to mere ġhilāf hāthoñ meñ mutma.in haiñ pe ba.ad mere
jo āñdhiyoñ meñ charāġh apne ye thartharā.e to kyā karoge
tumhārī āñkhoñ meñ aks merā agar na hogā to kaisā hogā
samā.atoñ ke shajar pe panchhī na chahchahā.e to kyā karoge
karoge kyā jo mire badan se dhueñ kī ik din lakīr uTThī
lakīr se phir hazār chehre nikal ke aa.e to kyā karoge
vo jin ḳhayāloñ meñ rah ke tum se mirī bhī pahchān kho ga.ī hai
unhī ḳhayāloñ ke sab musāfir hue parā.e to kyā karoge
ye sochte ho chalā gayā vo to chhat pe jāoge kis liye tum
ki ab ke sāvan kī bārishoñ meñ jo sab nahā.e to kyā karoge
haiñ dastaras meñ abhī bhī 'tāhir' uThā ke ab is ko pī bhī Daalo
mushāhidoñ meñ hī ho ga.ī gar ye ThanDī chaa.e to kyā karoge
ye muskuraate tamam sae hue parae to kya karoge
hawa ne jab bhi mere badan ke diye bujhae to kya karoge
tumhaari KHwahish pe umr bhar ki judaiyan bhi qubul kar lun
magar batao baghair mere jo rah na pae to kya karoge
wo jin mein mere azab tere sarab ubhre ya KHwab Dube
wo sare lamhe tumhaari jaanib palaT ke aae to kya karoge
baghair dar ke kisi bhi ghar mein ghire hue ho ye farz kar lo
aur aise aalam mein mil sake na jo meri rae to kya karoge
abhi to mere ghilaf hathon mein mutmain hain pe baad mere
jo aandhiyon mein charagh apne ye thartharae to kya karoge
tumhaari aankhon mein aks mera agar na hoga to kaisa hoga
samaaton ke shajar pe panchhi na chahchahae to kya karoge
karoge kya jo mere badan se dhuen ki ek din lakir uTThi
lakir se phir hazar chehre nikal ke aae to kya karoge
wo jin KHayalon mein rah ke tum se meri bhi pahchan kho gai hai
unhi KHayalon ke sab musafir hue parae to kya karoge
ye sochte ho chala gaya wo to chhat pe jaoge kis liye tum
ki ab ke sawan ki barishon mein jo sab nahae to kya karoge
hain dastaras mein abhi bhi 'tahir' uTha ke ab is ko pi bhi Dalo
mushahidon mein hi ho gai gar ye ThanDi chae to kya karoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.