ye na samjho ki sirf pani hai
ye na samjho ki sirf paanī hai
us kī āñkhoñ meñ ik kahānī hai
ḳhvāb meñ ā.īna chamakte haiñ
niiñd aise meñ kaise aanī hai
ham sarāboñ se mutma.in the magar
koī bolā ki aage paanī hai
muflisī meñ bhī hañs rahā hai vo
kis kī is dil pe hukmarānī hai
aise hālāt meñ bhī huuñ zinda
ye kitāboñ kī mehrbānī hai
ye na samjho ki sirf pani hai
us ki aankhon mein ek kahani hai
KHwab mein aaina chamakte hain
nind aise mein kaise aani hai
hum sarabon se mutmain the magar
koi bola ki aage pani hai
muflisi mein bhi hans raha hai wo
kis ki is dil pe hukmarani hai
aise haalat mein bhi hun zinda
ye kitabon ki mehrbani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.