ye nadan zehn hai jo sochta hai
ye nādāñ zehn hai jo sochtā hai
ḳhalā meñ kyā kaheñ saut-o-sadā hai
qalam ne jo bhī kāġhaz par likhā hai
mire afkār kā vo aa.ina hai
ik aisā bhī hai paanī kā parinda
tah-e-qulzum pe jis kā ghoñsla hai
farishtoñ kī paḌho to hast rekhā
davām un ke muqaddar meñ likhā hai
utāreñge kabhī tauq-e-ġhulāmī
havāoñ kā fazāoñ ne kahā hai
zamīñ ko ab nahīñ pahlī sī harakat
qamar bhī duur hotā jā rahā hai
vahī nāzil huī hai āsmāñ se
ki har bachcha jahāñ kā devtā hai
tamām asrār kholegā vo apne
gagan dhartī kī jānib chal paḌā hai
ravābit is ke be-ma.anī haiñ saare
zamān-e-hāl se jo kaT gayā hai
muqayyad hī rahā huuñ ghar meñ apne
yugoñ se silsila ye chal rahā hai
jahāñ ko tañg-bīnī kā ye tohfa
falak kī vus.atoñ se kyā milā hai
'figār' ik paikar-e-hilm-o-tahammul
banā kar sab ke ghar meñ rakh diyā hai
ye nadan zehn hai jo sochta hai
KHala mein kya kahen saut-o-sada hai
qalam ne jo bhi kaghaz par likha hai
mere afkar ka wo aaina hai
ek aisa bhi hai pani ka parinda
tah-e-qulzum pe jis ka ghonsla hai
farishton ki paDho to hast rekha
dawam un ke muqaddar mein likha hai
utarenge kabhi tauq-e-ghulami
hawaon ka fazaon ne kaha hai
zamin ko ab nahin pahli si harakat
qamar bhi dur hota ja raha hai
wahi nazil hui hai aasman se
ki har bachcha jahan ka dewta hai
tamam asrar kholega wo apne
gagan dharti ki jaanib chal paDa hai
rawabit is ke be-mani hain sare
zaman-e-haal se jo kaT gaya hai
muqayyad hi raha hun ghar mein apne
yugon se silsila ye chal raha hai
jahan ko tang-bini ka ye tohfa
falak ki wusaton se kya mila hai
'figar' ek paikar-e-hilm-o-tahammul
bana kar sab ke ghar mein rakh diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.