ye nafrat ka baghicha KHak kar den
ye nafrat kā baġhīcha ḳhaak kar deñ
chalo ham apnā ġhussa ḳhaak kar deñ
kuchh ik kirdār itrāne lage haiñ
ye goyā saarā qissa ḳhaak kar deñ
hamāre paaoñ ke chhāle na dekho
hameñ batlāo rasta ḳhaak kar deñ
hamīñ ne dasht se zamzam nikālā
jo ham chāheñ to dariyā ḳhaak kar deñ
hameñ Dar hai jinheñ mansab milā hai
kahīñ vo hī na naqsha ḳhaak kar deñ
ye ik din apnī kamzorī banegī
chalo sab fitna vitnā ḳhaak kar deñ
mohabbat kis tarah sābit kareñ ham
batā ab ḳhud ko kitnā ḳhaak kar deñ
adab itnā ki qadmoñ meñ paḌe haiñ
anā itnī ki lanka ḳhaak kar deñ
tujhe to ḳhaak kar hī deñge ik din
magar pahle ye rishta ḳhaak kar deñ
ye nafrat ka baghicha KHak kar den
chalo hum apna ghussa KHak kar den
kuchh ek kirdar itrane lage hain
ye goya sara qissa KHak kar den
hamare paon ke chhaale na dekho
hamein batlao rasta KHak kar den
hamin ne dasht se zamzam nikala
jo hum chahen to dariya KHak kar den
hamein Dar hai jinhen mansab mila hai
kahin wo hi na naqsha KHak kar den
ye ek din apni kamzori banegi
chalo sab fitna witna KHak kar den
mohabbat kis tarah sabit karen hum
bata ab KHud ko kitna KHak kar den
adab itna ki qadmon mein paDe hain
ana itni ki lanka KHak kar den
tujhe to KHak kar hi denge ek din
magar pahle ye rishta KHak kar den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.