ye nahin hai ki mujhe teri nazar yaad nahin
ye nahīñ hai ki mujhe terī nazar yaad nahīñ
us ne kyā mujh se kahā thā ye magar yaad nahīñ
be-niyāzī ye nahīñ gum-shudagī hai ai dost
ki mujhe rabt-e-qadīm-e-dar-o-sar yaad nahīñ
vahī shor-e-arinī aur vahī bebākī-e-shauq
ki mohabbat ko agar aur magar yaad nahīñ
dil-e-ḳhud-kām hai āsūda-e-aish-e-manzil
use dil-sozī-e-yārān-e-safar yaad nahīñ
haa.e ye gum-shudagī ruuh kī taqdīr meñ thī
aaj pūchho ki kahāñ ghar hai to ghar yaad nahīñ
dīdanī hai ye sarāsīmgī-e-dīda-e-shauq
ki tire dar pe khaḌe haiñ tirā dar yaad nahīñ
zindagī kyā hai faqat ek junūn-e-raftār
ki safar meñ haiñ magar vaj.h-e-safar yaad nahīñ
phir vahī shauq kī bebāk-ḳhirāmī 'rizvī'
saḳhtiyāñ raah kī ai mard-e-safar yaad nahīñ
ye nahin hai ki mujhe teri nazar yaad nahin
us ne kya mujh se kaha tha ye magar yaad nahin
be-niyazi ye nahin gum-shudagi hai ai dost
ki mujhe rabt-e-qadim-e-dar-o-sar yaad nahin
wahi shor-e-arini aur wahi bebaki-e-shauq
ki mohabbat ko agar aur magar yaad nahin
dil-e-KHud-kaam hai aasuda-e-aish-e-manzil
use dil-sozi-e-yaran-e-safar yaad nahin
hae ye gum-shudagi ruh ki taqdir mein thi
aaj puchho ki kahan ghar hai to ghar yaad nahin
didani hai ye sarasimgi-e-dida-e-shauq
ki tere dar pe khaDe hain tera dar yaad nahin
zindagi kya hai faqat ek junun-e-raftar
ki safar mein hain magar wajh-e-safar yaad nahin
phir wahi shauq ki bebak-KHirami 'rizwi'
saKHtiyan rah ki ai mard-e-safar yaad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.