ye nahin hum ko shikayat aap kyon aate nahin
ye nahin hum ko shikayat aap kyon aate nahin
Abbas Ali Khan Bekhud
MORE BYAbbas Ali Khan Bekhud
ye nahīñ ham ko shikāyat aap kyoñ aate nahīñ
aap aate haiñ magar ham aap ko paate nahīñ
kuchh samajh kar hī ham un kī bazm meñ jaate nahīñ
dostī kā paas hai dushman se ghabrāte nahīñ
shukr hai itnā to hai āshiq-navāzī kā ḳhayāl
paas se jaate haiñ lekin dil se vo jaate nahīñ
muñh se kah sakte nahīñ bas dekhte haiñ har taraf
vo uThe pahlū se ham pahlū meñ dil paate nahīñ
aap aate haiñ to fauran khol dete haiñ ham aañkh
aap jaate haiñ to pahroñ hosh meñ aate nahīñ
dar-haqīqat vasl hai 'beḳhud' hamārī be-ḳhudī
un ko paate haiñ to apne aap ko paate nahīñ
ye nahin hum ko shikayat aap kyon aate nahin
aap aate hain magar hum aap ko pate nahin
kuchh samajh kar hi hum un ki bazm mein jate nahin
dosti ka pas hai dushman se ghabraate nahin
shukr hai itna to hai aashiq-nawazi ka KHayal
pas se jate hain lekin dil se wo jate nahin
munh se kah sakte nahin bas dekhte hain har taraf
wo uThe pahlu se hum pahlu mein dil pate nahin
aap aate hain to fauran khol dete hain hum aankh
aap jate hain to pahron hosh mein aate nahin
dar-haqiqat wasl hai 'beKHud' hamari be-KHudi
un ko pate hain to apne aap ko pate nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.