Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye nahin pahle teri yaad se nisbat kam thi

Iqbal Ashhar

ye nahin pahle teri yaad se nisbat kam thi

Iqbal Ashhar

MORE BYIqbal Ashhar

    ye nahīñ pahle tirī yaad se nisbat kam thī

    mājrā ye thā ki ehsās meñ shiddat kam thī

    kis liye chhīn liyā to ne ġhazāloñ sukūn

    is ḳharābe ke liye kyā mirī vahshat kam thī

    vaise bhī us se koī rabt na rakkhā maiñ ne

    yuuñ bhī duniyā meñ kashish terī ba-nisbat kam thī

    tere kirdār ko itnā to sharaf hāsil hai

    nahīñ thā to kahānī meñ haqīqat kam thī

    ham to us vaqt bhī raushan the kisī goshe meñ

    jab zamāne ko charāġhoñ zarūrat kam thī

    ye nahin pahle teri yaad se nisbat kam thi

    majra ye tha ki ehsas mein shiddat kam thi

    kis liye chhin liya to ne ghazalon ka sukun

    is KHarabe ke liye kya meri wahshat kam thi

    waise bhi us se koi rabt na rakkha main ne

    yun bhi duniya mein kashish teri ba-nisbat kam thi

    tere kirdar ko itna to sharaf hasil hai

    tu nahin tha to kahani mein haqiqat kam thi

    hum to us waqt bhi raushan the kisi goshe mein

    jab zamane ko charaghon ki zarurat kam thi

    Source :
    • Book : Rat jage (Pg. 71)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now