ye natije the dil lagane ke
ye natīje the dil lagāne ke
ashk bahte rahe dīvāne ke
kaun se dard tum ko dikhlā.ūñ
kuchh tumhāre haiñ kuchh zamāne ke
le nishāna vo jo to kyā hogā
ham haiñ ghāyal binā nishāne ke
muskurānā nazar jhukā lenā
sab tarīqe hameñ satāne ke
bas tujhe dekh ro paḌe the ham
yuuñ fasāne bane fasāne ke
ye natije the dil lagane ke
ashk bahte rahe diwane ke
kaun se dard tum ko dikhlaun
kuchh tumhaare hain kuchh zamane ke
le nishana wo jo to kya hoga
hum hain ghayal bina nishane ke
muskurana nazar jhuka lena
sab tariqe hamein satane ke
bas tujhe dekh ro paDe the hum
yun fasane bane fasane ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.