ye nim-baz teri ankhDiyon ke maiKHane
ye nīm-bāz tirī añkhḌiyoñ ke maiḳhāne
nazar mile to chhalak jaa.eñ dil ke paimāne
kahīñ kalī ne tabassum kā raaz samjhā hai
jo ḳhud chaman hai vo apnī bahār kyā jaane
ajab nahīñ jo mohabbat mujhe samajh na sake
vo ajnabī huuñ jise ziist bhī na pahchāne
jo hosh meñ thā to koī na mai-ba-jām aayā
bahak gayā huuñ to duniyā chalī hai samjhāne
fareb-e-mashriq-o-maġhrib haiñ rahravān-e-jadīd
ye bad-nasīb na aaqil hue na dīvāne
vo zinda hai jo bahe mauj vaqt kī rau meñ
vo zinda-tar hai jo tūfāñ meñ Thernā jaane
maiñ apnī bazm se itnā hī duur huuñ ki 'nushūr'
mirī navāoñ se kuchh āshnā haiñ begāne
ye nim-baz teri ankhDiyon ke maiKHane
nazar mile to chhalak jaen dil ke paimane
kahin kali ne tabassum ka raaz samjha hai
jo KHud chaman hai wo apni bahaar kya jaane
ajab nahin jo mohabbat mujhe samajh na sake
wo ajnabi hun jise zist bhi na pahchane
jo hosh mein tha to koi na mai-ba-jam aaya
bahak gaya hun to duniya chali hai samjhane
fareb-e-mashriq-o-maghrib hain rahrawan-e-jadid
ye bad-nasib na aaqil hue na diwane
wo zinda hai jo bahe mauj waqt ki rau mein
wo zinda-tar hai jo tufan mein Therna jaane
main apni bazm se itna hi dur hun ki 'nushur'
meri nawaon se kuchh aashna hain begane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.