ye pani dekh kar hairat-zada hai
ye paanī dekh kar hairat-zada hai
ki dil machhlī kā is se bhar gayā hai
hamārī aañkh meñ aañsū nahīñ haiñ
bahāne ko faqat ab ḳhuuñ bachā hai
hamāre khel kī guḌiyā tumhī ho
tumhāre khel kā guDDā nayā hai
jise mujh se nahīñ hai koī matlab
maiñ sab se boltā huuñ vo mirā hai
agar kānoñ kī baisākhī haTā do
to gūñgā bhī barābar boltā hai
ye pani dekh kar hairat-zada hai
ki dil machhli ka is se bhar gaya hai
hamari aankh mein aansu nahin hain
bahane ko faqat ab KHun bacha hai
hamare khel ki guDiya tumhi ho
tumhaare khel ka guDDa naya hai
jise mujh se nahin hai koi matlab
main sab se bolta hun wo mera hai
agar kanon ki baisakhi haTa do
to gunga bhi barabar bolta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.