ye paiham talKH-kaami si rahi kya
ye paiham talḳh-kāmī sī rahī kyā
mohabbat zahr khā ke aa.ī thī kyā
mujhe ab tum se Dar lagne lagā hai
tumheñ mujh se mohabbat ho ga.ī kyā
shikast-e-e'timād-e-zāt ke vaqt
qayāmat aa rahī thī aa ga.ī kyā
mujhe shikva nahīñ bas pūchhnā hai
ye tum hañstī ho apnī hī hañsī kyā
hameñ shikva nahīñ ik dūsre se
manānā chāhiye us par ḳhushī kyā
paḌe haiñ ek gosh meñ gumāñ ke
bhalā ham kyā hamārī zindagī kyā
maiñ ruḳhsat ho rahā huuñ par tumhārī
udāsī ho ga.ī hai multavī kyā
maiñ ab har shaḳhs se uktā chukā huuñ
faqat kuchh dost haiñ aur dost bhī kyā
mohabbat meñ hameñ pās-e-anā thā
badan kī ishtihā sādiq na thī kyā
nahīñ rishta samūcha zindagī se
na jaane ham meñ hai apnī kamī kyā
abhī hone kī bāteñ haiñ so kar lo
abhī to kuchh nahīñ honā abhī kyā
yahī pūchhā kiyā maiñ aaj din-bhar
har ik insān ko roTī milī kyā
ye rabt-e-be-shikāyat aur ye maiñ
jo shai siine meñ thī vo bujh ga.ī kyā
ye paiham talKH-kaami si rahi kya
mohabbat zahr kha ke aai thi kya
mujhe ab tum se Dar lagne laga hai
tumhein mujh se mohabbat ho gai kya
shikast-e-e'timad-e-zat ke waqt
qayamat aa rahi thi aa gai kya
mujhe shikwa nahin bas puchhna hai
ye tum hansti ho apni hi hansi kya
hamein shikwa nahin ek dusre se
manana chahiye us par KHushi kya
paDe hain ek gosh mein guman ke
bhala hum kya hamari zindagi kya
main ruKHsat ho raha hun par tumhaari
udasi ho gai hai multawi kya
main ab har shaKHs se ukta chuka hun
faqat kuchh dost hain aur dost bhi kya
mohabbat mein hamein pas-e-ana tha
badan ki ishtiha sadiq na thi kya
nahin rishta samucha zindagi se
na jaane hum mein hai apni kami kya
abhi hone ki baaten hain so kar lo
abhi to kuchh nahin hona abhi kya
yahi puchha kiya main aaj din-bhar
har ek insan ko roTi mili kya
ye rabt-e-be-shikayat aur ye main
jo shai sine mein thi wo bujh gai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.