ye pal zindagi ka bikharne se pahle
ye pal zindagī kā bikharne se pahle
tire saath jiinā hai marne se pahle
maiñ āñkhoñ meñ sūrat chhupā luuñ tumhārī
milan kī ghaḌī ye guzarne se pahle
suno mere dil par zarā haath rakh do
nigāhoñ se dil meñ utarne se pahle
ijāzat to letī mohabbat ye ham se
diloñ meñ hamāre Thaharne se pahle
hameñ shā.erī se shaġhaf hī nahīñ thā
mohabbat kī rah se guzarne se pahle
zarā mashvara apnī nīñdoñ se kar lo
mire ḳhvāb āñkhoñ meñ bharne se pahle
ye pal zindagi ka bikharne se pahle
tere sath jina hai marne se pahle
main aankhon mein surat chhupa lun tumhaari
milan ki ghaDi ye guzarne se pahle
suno mere dil par zara hath rakh do
nigahon se dil mein utarne se pahle
ijazat to leti mohabbat ye hum se
dilon mein hamare Thaharne se pahle
hamein shaeri se shaghaf hi nahin tha
mohabbat ki rah se guzarne se pahle
zara mashwara apni nindon se kar lo
mere KHwab aankhon mein bharne se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.