ye phailti shikastagi ehsas ki taraf
ye phailtī shikastagī ehsās kī taraf
dariyā ravāñ-davāñ haiñ mirī pyaas kī taraf
us kā badan jhukā huā patthar kī bench par
apne qadam bhī muḌte hue ghaas kī taraf
dikhlā rahī hai dhuup bashāshat kā aa.ina
aur chhāñv khīñchtī hai mujhe yaas kī taraf
ashiyā kī lazzatoñ meñ aTaktā huā badan
aur ruuh kā khiñchāv hai ban-bās kī taraf
sab ye samajh rahe the ki nirvān mil gayā
chakrā rahī hai chiil magar maas kī taraf
ye phailti shikastagi ehsas ki taraf
dariya rawan-dawan hain meri pyas ki taraf
us ka badan jhuka hua patthar ki bench par
apne qadam bhi muDte hue ghas ki taraf
dikhla rahi hai dhup bashashat ka aaina
aur chhanw khinchti hai mujhe yas ki taraf
ashiya ki lazzaton mein aTakta hua badan
aur ruh ka khinchaw hai ban-bas ki taraf
sab ye samajh rahe the ki nirwan mil gaya
chakra rahi hai chil magar mas ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.