ye phul jo miTTi ke hayulon se aTa hai
ye phuul jo miTTī ke hayūloñ se aTā hai
maazī kā koī ḳhvāb hai mānūs sadā hai
sūkhā huā pattā huuñ ki be-Dāl paḌā huuñ
kyā jāniye kis ke liye ye jog liyā hai
ai ḳhār-e-chaman-zār munajjim to nahīñ tū
fardā kā har ik raaz tire lab se sunā hai
pūchho ye sitāroñ se ki tauzīh kareñ vo
kyuuñ laash pe yuuñ chāñd kī mātam sā bapā hai
dukhte hue dil se ka.ī shahkār nikāle
is daur ko ham ne hī ziyā-pāsh kiyā hai
jam bhī vahī daarā bhī sikandar bhī vahī hai
jī kar bhī tirā aur jo mar kar bhī tirā hai
tū mujh se gurezāñ hai to maiñ tujh pe huuñ qurbāñ
ishva hai jo vo terā to ye merī adā hai
fankār ne samjhā na muġhannī hī ne samjhā
jo sirr-e-nihāñ ek qalandar ne kahā hai
maiñ phir bhī 'azīm' us kī adāoñ pe miTā huuñ
jo marg kā unvāñ mirī hastī kī baqā hai
ye phul jo miTTi ke hayulon se aTa hai
mazi ka koi KHwab hai manus sada hai
sukha hua patta hun ki be-Dal paDa hun
kya jaaniye kis ke liye ye jog liya hai
ai KHar-e-chaman-zar munajjim to nahin tu
farda ka har ek raaz tere lab se suna hai
puchho ye sitaron se ki tauzih karen wo
kyun lash pe yun chand ki matam sa bapa hai
dukhte hue dil se kai shahkar nikale
is daur ko hum ne hi ziya-pash kiya hai
jam bhi wahi dara bhi sikandar bhi wahi hai
ji kar bhi tera aur jo mar kar bhi tera hai
tu mujh se gurezan hai to main tujh pe hun qurban
ishwa hai jo wo tera to ye meri ada hai
fankar ne samjha na mughanni hi ne samjha
jo sirr-e-nihan ek qalandar ne kaha hai
main phir bhi 'azim' us ki adaon pe miTa hun
jo marg ka unwan meri hasti ki baqa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.