ye qafile yaadon ke kahin kho gae hote
ye qāfile yādoñ ke kahīñ kho ga.e hote
ik pal bhī agar bhuul se ham so ga.e hote
ai shahr tirā nām-o-nishāñ bhī nahīñ hotā
jo hādse hone the agar ho ga.e hote
har baar palaTte hue ghar ko yahī sochā
ai kaash kisī lambe safar ko ga.e hote
ham ḳhush haiñ hameñ dhuup virāsat meñ milī hai
ajdād kahīñ peḌ bhī kuchh bo ga.e hote
kis muñh se kaheñ tujh se samundar ke haiñ haqdār
sairāb sarāboñ se bhī ham ho ga.e hote
ye qafile yaadon ke kahin kho gae hote
ek pal bhi agar bhul se hum so gae hote
ai shahr tera nam-o-nishan bhi nahin hota
jo hadse hone the agar ho gae hote
har bar palaTte hue ghar ko yahi socha
ai kash kisi lambe safar ko gae hote
hum KHush hain hamein dhup wirasat mein mili hai
ajdad kahin peD bhi kuchh bo gae hote
kis munh se kahen tujh se samundar ke hain haqdar
sairab sarabon se bhi hum ho gae hote
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 357)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.