ye qalam mera jab se uThTha hai
ye qalam merā jab se uThThā hai
tum ko nazroñ kā nuur likkhā hai
aur phir boltī nahīñ huuñ maiñ
merā ik-tarfa 'ishq sachchā hai
ik nazar roz vo dikhe ham ko
mere dil ke liye ye achchhā hai
koī aisī mahak lagī harsū
'ishq kā zauq jab se chakkhā hai
ho ke chup-chāp sī mohabbat meñ
ḳhud ko aise sañbhāl rakkhā hai
ye qalam mera jab se uThTha hai
tum ko nazron ka nur likkha hai
aur phir bolti nahin hun main
mera ik-tarfa 'ishq sachcha hai
ek nazar roz wo dikhe hum ko
mere dil ke liye ye achchha hai
koi aisi mahak lagi harsu
'ishq ka zauq jab se chakkha hai
ho ke chup-chap si mohabbat mein
KHud ko aise sanbhaal rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.