Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye raaz usne chhupaya hai KHush-bayani se

Sohail Akhtar

ye raaz usne chhupaya hai KHush-bayani se

Sohail Akhtar

MORE BYSohail Akhtar

    ye raaz us ne chhupāyā hai ḳhush-bayānī se

    ki merā zikr bhī ġhā.eb hai ab kahānī se

    maiñ ḳhvāhishoñ ke namak huuñ Dher mat pūchho

    jo merā ḳhauf hai jazboñ ke bahte paanī se

    ġhurūr toḌnā maiñ chāhtā huuñ dariyā

    badal de mirī luknat ko ab ravānī se

    suḳhan meñ kuchh nahīñ e.ajāz tamannā hai

    so arz karne lage ham bhī be-zabānī se

    maiñ hiirā to nahīñ poshīda ko.ele meñ kahīñ

    kabhī kabhī to lage Dar bhī be-nishānī se

    pahāḌ jaise dinoñ ko to kaaT luuñ lekin

    nikal na pā.ūñ maiñ ik raat girānī se

    jo kaam jabr āñdhī bhī kar nahīñ paatī

    vo kaam hotā hai ḳhāmosh mehrbānī se

    mazā liyā gayā āvārgī ḳhuub 'suhail'

    malūl maiñ na huā apnī be-makānī se

    ye raaz us ne chhupaya hai KHush-bayani se

    ki mera zikr bhi ghaeb hai ab kahani se

    main KHwahishon ke namak ka hun Dher mat puchho

    jo mera KHauf hai jazbon ke bahte pani se

    ghurur toDna main chahta hun dariya ka

    badal de tu meri luknat ko ab rawani se

    suKHan mein kuchh nahin eajaz ki tamanna hai

    so arz karne lage hum bhi be-zabani se

    main hira to nahin poshida koele mein kahin

    kabhi kabhi to lage Dar bhi be-nishani se

    pahaD jaise dinon ko to kaT lun lekin

    nikal na paun main ek raat ki girani se

    jo kaam jabr ki aandhi bhi kar nahin pati

    wo kaam hota hai KHamosh mehrbani se

    maza liya gaya aawargi ka KHub 'suhail'

    malul main na hua apni be-makani se

    Source :
    • Book : Ghazal Ke Rang (Pg. 202)
    • Author : Akram Naqqash, Sohil Akhtar
    • Publication : Aflaak Publications, Gulbarga (2014)
    • Edition : 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now