ye rang-o-bu hain kuchh din ke nazaron ka bharosa kya
ye rang-o-bu hain kuchh din ke nazaron ka bharosa kya
Naseem Akhtar Naseem
MORE BYNaseem Akhtar Naseem
ye rang-o-bū haiñ kuchh din ke nazāroñ kā bharosa kyā
bahāreñ kal kahāñ hoñgī bahāroñ kā bharosā kyā
na itrānā ki hai tum ko mayassar dāman-e-sāhil
kināre TuuT jaate haiñ kināroñ kā bharosā kyā
ham apnī zaat hī ko anjuman taslīm karte haiñ
idāre TuuT jaate haiñ idāroñ kā bharosā kyā
zamāne meñ nahīñ anjām achchhā sar uThāne kā
sitāre TuuT jaate haiñ sitāroñ kā bharosā kyā
'nasīm' is darja faḳhr achchhā nahīñ yārān-e-mahfil par
sahāre TuuT jaate haiñ sahāroñ kā bharosā kyā
ye rang-o-bu hain kuchh din ke nazaron ka bharosa kya
bahaaren kal kahan hongi bahaaron ka bharosa kya
na itrana ki hai tum ko mayassar daman-e-sahil
kinare TuT jate hain kinaron ka bharosa kya
hum apni zat hi ko anjuman taslim karte hain
idare TuT jate hain idaron ka bharosa kya
zamane mein nahin anjam achchha sar uThane ka
sitare TuT jate hain sitaron ka bharosa kya
'nasim' is darja faKHr achchha nahin yaran-e-mahfil par
sahaare TuT jate hain sahaaron ka bharosa kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.