ye roz roz ka milna milana mushkil hai
ye roz roz kā milnā milānā mushkil hai
vo kah rahā hai ki va.ada nibhānā mushkil hai
lagāv us se mire jism-o-jāñ ko aisā rahā
ki yaad rakhnā hai āsāñ bhulānā mushkil hai
bichhaḌte vaqt mire hoñT sī diye us ne
so āsmān ko sar pe uThānā mushkil hai
ab aa ga.e ho sitāre sajā ke palkoñ par
tumheñ batā to diyā thā zamāna mushkil hai
'salīm' 'fauz' nahīñ ishq ehtiyāt kā kaam
ye aag vo hai ki dāman bachānā mushkil hai
ye roz roz ka milna milana mushkil hai
wo kah raha hai ki wada nibhana mushkil hai
lagaw us se mere jism-o-jaan ko aisa raha
ki yaad rakhna hai aasan bhulana mushkil hai
bichhaDte waqt mere honT si diye us ne
so aasman ko sar pe uThana mushkil hai
ab aa gae ho sitare saja ke palkon par
tumhein bata to diya tha zamana mushkil hai
'salim' 'fauz' nahin ishq ehtiyat ka kaam
ye aag wo hai ki daman bachana mushkil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.