ye sans bharti hui zindagi ka dukh hai mujhe
ye saañs bhartī huī zindagī kā dukh hai mujhe
tumhārā is kā aur us kā sabhī kā dukh hai mujhe
simaT ga.iiñ kisī jangal kī vahshateñ mujh meñ
so ghar meñ hote hue be-gharī kā dukh hai mujhe
bahut ziyāda añdheroñ se bhī shikāyat thī
aur in dinoñ to bahut raushnī kā dukh hai mujhe
maiñ ro paḌūñgā bahut bhīñch ke gale na lagā
maiñ pahle jaisā nahīñ huuñ kisī kā dukh hai mujhe
ye koī she'r nahīñ haiñ ye zaḳhm haiñ mere
tabīb boltā hai shā'irī kā dukh hai mujhe
bichhaḌ ke tujh se maiñ insāniyat se gir gayā huuñ
tū ḳhush huā hai to terī ḳhushī kā dukh hai mujhe
ye sans bharti hui zindagi ka dukh hai mujhe
tumhaara is ka aur us ka sabhi ka dukh hai mujhe
simaT gain kisi jangal ki wahshaten mujh mein
so ghar mein hote hue be-ghari ka dukh hai mujhe
bahut ziyaada andheron se bhi shikayat thi
aur in dinon to bahut raushni ka dukh hai mujhe
main ro paDunga bahut bhinch ke gale na laga
main pahle jaisa nahin hun kisi ka dukh hai mujhe
ye koi she'r nahin hain ye zaKHm hain mere
tabib bolta hai sha'iri ka dukh hai mujhe
bichhaD ke tujh se main insaniyat se gir gaya hun
tu KHush hua hai to teri KHushi ka dukh hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.