ye sari dhul meri hai ye sab ghubar mera
ye saarī dhuul mirī hai ye sab ġhubār mirā
guzar hai tere ḳharābe se baar baar mirā
ḳhizāñ to kyā nahīñ jis kī bahār ko bhī ḳhabar
ik aise baaġh ke andar hai barg-o-bār mirā
hai dil ke naġhma o naala se ab gurez mujhe
milā huā hai kisī aur lai se taar mirā
maiñ ḳhush huuñ nān-o-namak par to is kī daad na de
ki bhiik māñgtā phirtā hai shahryār mirā
tire ġhurūr kī ismat-darī pe nādim huuñ
tire lahū se bhī dāman hai dāġhdār mirā
ye sari dhul meri hai ye sab ghubar mera
guzar hai tere KHarabe se bar bar mera
KHizan to kya nahin jis ki bahaar ko bhi KHabar
ek aise bagh ke andar hai barg-o-bar mera
hai dil ke naghma o nala se ab gurez mujhe
mila hua hai kisi aur lai se tar mera
main KHush hun nan-o-namak par to is ki dad na de
ki bhik mangta phirta hai shahryar mera
tere ghurur ki ismat-dari pe nadim hun
tere lahu se bhi daman hai daghdar mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.