ye sach hai bakwas nahin hai
ye sach hai bakvās nahīñ hai
vo ab dil ke paas nahīñ hai
vo bhūke haiñ naam ke ḳhātir
kaam kī un ko pyaas nahīñ hai
ġhālib hai ab daur-e-jahālat
bachchoñ se kuchh aas nahīñ hai
bhuuk chhupī hai peT ke bhītar
chehre par iflās nahīñ hai
vo kahte haiñ ḳhuub hai duniyā
ham kahte haiñ ḳhaas nahīñ hai
ye sach hai bakwas nahin hai
wo ab dil ke pas nahin hai
wo bhuke hain nam ke KHatir
kaam ki un ko pyas nahin hai
ghaalib hai ab daur-e-jahaalat
bachchon se kuchh aas nahin hai
bhuk chhupi hai peT ke bhitar
chehre par iflas nahin hai
wo kahte hain KHub hai duniya
hum kahte hain KHas nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.