Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye sahra bas abhi gulzar ho jaane hi wala hai

Khalid Ebadi

ye sahra bas abhi gulzar ho jaane hi wala hai

Khalid Ebadi

MORE BYKhalid Ebadi

    ye sahrā bas abhī gulzār ho jaane vaalā hai

    koī tūfāñ nahīñ to qāfila aane vaalā hai

    zarā Thahro use aane do us baat bhī sun leñ

    hameñ jo ilm hai go dil ko dahlāne vaalā hai

    samundar meñ jazīre haiñ jazīroñ par hai ābādī

    abhī ik shor bas kānoñ se Takrāne vaalā hai

    havā-e-fasl-e-gul meñ shorish-e-bād-e-ḳhizāñ bhī hai

    kalī khiltī hai ya.anī phuul murjhāne vaalā hai

    kahāñ jāoge kis ḳhāk-e-tamannā havas meñ ho

    tumhārī raah har moḌ vīrāne vaalā hai

    vahī ġharqāb hoñge ham vahī kashtī na Dūbegī

    agarche nāḳhudā is sach ko jhuTlāne vaalā hai

    ye sahra bas abhi gulzar ho jaane hi wala hai

    koi tufan nahin to qafila aane hi wala hai

    zara Thahro use aane do us ki baat bhi sun len

    hamein jo ilm hai go dil ko dahlane hi wala hai

    samundar mein jazire hain jaziron par hai aabaadi

    abhi ek shor bas kanon se Takrane hi wala hai

    hawa-e-fasl-e-gul mein shorish-e-baad-e-KHizan bhi hai

    kali khilti hai yani phul murjhane hi wala hai

    kahan jaoge kis KHak-e-tamanna ki hawas mein ho

    tumhaari rah ka har moD virane hi wala hai

    wahi gharqab honge hum wahi kashti na Dubegi

    agarche naKHuda is sach ko jhuTlane hi wala hai

    Source :
    • Book : khush ahjaar (Pg. 20)
    • Author : khalid ebadi
    • Publication : educational publishing house (2006)
    • Edition : 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now