ye sahra-e-mohabbat hai yahan saya nahin koi
ye sahrā-e-mohabbat hai yahāñ saaya nahīñ koī
guzarte jā rahe haiñ sab magar ruktā nahīñ koī
tumhīñ se merī vābasta bahār-e-zindagānī thī
tumhāre baad in āñkhoñ meñ ab jachtā nahīñ koī
chalo chal kar na.ī duniyā koī ābād karte haiñ
ki mazlūmoñ kī fariyādeñ yahāñ suntā nahīñ koī
mohabbat kab kisī ko is jahāñ meñ raas aa.ī hai
tumhārī bevafā.ī kā mujhe shikva nahīñ koī
bayābāñ kī tarah lagtī haiñ jab ḳhāmosh rahtī haiñ
chhalak jaa.e to in āñkhoñ sā phir dariyā nahīñ koī
vatan pe jāñ-nisārī kā to da.avā log karte haiñ
kisī meñ jaañ luTāne kā magar jazba nahīñ koī
sabhī āsūda rahte haiñ sukūñ kī niiñd sote haiñ
hamāre shahr meñ 'jāzil' abhī bhūkā nahīñ koī
ye sahra-e-mohabbat hai yahan saya nahin koi
guzarte ja rahe hain sab magar rukta nahin koi
tumhin se meri wabasta bahaar-e-zindagani thi
tumhaare baad in aankhon mein ab jachta nahin koi
chalo chal kar nai duniya koi aabaad karte hain
ki mazlumon ki fariyaaden yahan sunta nahin koi
mohabbat kab kisi ko is jahan mein ras aai hai
tumhaari bewafai ka mujhe shikwa nahin koi
bayaban ki tarah lagti hain jab KHamosh rahti hain
chhalak jae to in aankhon sa phir dariya nahin koi
watan pe jaan-nisari ka to dawa log karte hain
kisi mein jaan luTane ka magar jazba nahin koi
sabhi aasuda rahte hain sukun ki nind sote hain
hamare shahr mein 'jazil' abhi bhuka nahin koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.