Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye sanam bhi ghaTor kitne hain

Shad Lakhnavi

ye sanam bhi ghaTor kitne hain

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    ye sanam bhī ghaTor kitne haiñ

    but bane sun rahe haiñ jitne haiñ

    sub.h-e-pīrī hai ġhāfilān-e-jahāñ

    ḳhvāb-e-ḳhargosh meñ haiñ jitne haiñ

    mauj-dar-mauj hai tabāhī meñ

    dam-ba-ḳhud haiñ habāb jitne haiñ

    bū-e-gul ho ki nik.hat-e-gul ho

    ḳhāna-barbād haiñ ye jitne haiñ

    turfa qātil hai jis ke morid-e-malḳh

    be-chhurī haiñ halāl jitne haiñ

    ḳhush-navā ye hai nāla-e-bulbul

    hama-tan-gosh gul haiñ jitne haiñ

    ai sanam vo hai nai-o-nāqūs

    dam tirā bhar rahe haiñ jitne haiñ

    har ravish-e-bāġh-e-dahr meñ gul-e-tar

    dīda-e-mutazir haiñ jitne haiñ

    ek maiñ kyā huuñ mahv-e-sūrat-e-sāf

    hairatī aa.ine haiñ jitne haiñ

    kul ġhazal ek qāfiya ai 'shād'

    sher ma.ayūb haiñ ye jitne haiñ

    ye sanam bhi ghaTor kitne hain

    but bane sun rahe hain jitne hain

    subh-e-piri hai ghafilan-e-jahan

    KHwab-e-KHargosh mein hain jitne hain

    mauj-dar-mauj hai tabahi mein

    dam-ba-KHud hain habab jitne hain

    bu-e-gul ho ki nikhat-e-gul ho

    KHana-barbaad hain ye jitne hain

    turfa qatil hai jis ke morid-e-malKH

    be-chhuri hain halal jitne hain

    KHush-nawa ye hai nala-e-bulbul

    hama-tan-gosh gul hain jitne hain

    ai sanam tu wo hai nai-o-naqus

    dam tera bhar rahe hain jitne hain

    har rawish-e-bagh-e-dahr mein gul-e-tar

    dida-e-mutazir hain jitne hain

    ek main kya hun mahw-e-surat-e-saf

    hairati aaine hain jitne hain

    kul ghazal ek qafiya ai 'shad'

    sher mayub hain ye jitne hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now