ye sannaTa hai main hun chandni mein
ye sannāTā hai maiñ huuñ chāñdnī meñ
mazā bhī ḳhuub hai āvārgī meñ
laboñ par muskurāhaT gaal giile
tirā ġham ghul gayā merī ḳhushī meñ
zarā sī der ko khiḌkī jo khole
farishte ghūmeñge us kī galī meñ
ghaḌī ke pair thakte hī nahīñ kyā
ghaḌī ījād kī thī kis ghaḌī meñ
jo miTTī ke banā.e the ḳhudā ne
ye aise log hai kūza-garī meñ
jo but-ḳhāne meñ tujh ko soch leñ to
bhaTak jaate haiñ rasta bandagī meñ
mirī pahlī mohabbat tum thī jānāñ
tumheñ zinda rakhūñgā shā.irī meñ
ye sannaTa hai main hun chandni mein
maza bhi KHub hai aawargi mein
labon par muskurahaT gal gile
tera gham ghul gaya meri KHushi mein
zara si der ko khiDki jo khole
farishte ghumenge us ki gali mein
ghaDi ke pair thakte hi nahin kya
ghaDi ijad ki thi kis ghaDi mein
jo miTTi ke banae the KHuda ne
ye aise log hai kuza-gari mein
jo but-KHane mein tujh ko soch len to
bhaTak jate hain rasta bandagi mein
meri pahli mohabbat tum thi jaanan
tumhein zinda rakhunga shairi mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.