ye sar-buland hote hi shane se kaT gaya
ye sar-buland hote hī shāne se kaT gayā
maiñ mohtaram huā to zamāne se kaT gayā
maañ aaj mujh ko chhoḌ ke gaañv chalī ga.ī
maiñ aaj apne ā.īna-ḳhāne se kaT gayā
joḌe kī shaan baḌh ga.ī mahfil mahak uThī
lekin ye phuul apne gharāne se kaT gayā
ai āñsūo tumhārī zarūrat hai ab mujhe
kuchh mail to badan kā nahāne se kaT gayā
us peḌ se kisī ko shikāyat na thī magar
ye peḌ sirf biich meñ aane se kaT gayā
varna vahī ujaaḌ havelī sī zindagī
tum aa ga.e to vaqt Thikāne se kaT gayā
ye sar-buland hote hi shane se kaT gaya
main mohtaram hua to zamane se kaT gaya
man aaj mujh ko chhoD ke ganw chali gai
main aaj apne aaina-KHane se kaT gaya
joDe ki shan baDh gai mahfil mahak uThi
lekin ye phul apne gharane se kaT gaya
ai aansuo tumhaari zarurat hai ab mujhe
kuchh mail to badan ka nahane se kaT gaya
us peD se kisi ko shikayat na thi magar
ye peD sirf bich mein aane se kaT gaya
warna wahi ujaD haweli si zindagi
tum aa gae to waqt Thikane se kaT gaya
- Book : Sukhan Sarai (Pg. 39)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.