Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye shaKH-e-sabz jo pili hui hai

Shareef Munawwar

ye shaKH-e-sabz jo pili hui hai

Shareef Munawwar

MORE BYShareef Munawwar

    Interesting Fact

    1976

    ye shāḳh-e-sabz jo piilī huī hai

    har ik mausam meñ tabdīlī huī hai

    huī hai shaḳhsiyat be-āb apnī

    faqat poshāk bhaḌkīlī huī hai

    kiyā jab bhī nazar-andāz ġham ko

    giraft-e-ġham bahut Dhīlī huī hai

    lagī hai aag jab bhī jhoñpaḌī meñ

    to dushman ek ik tiilī huī hai

    har ik āzād hai pāband kuchh

    ghaTāoñ meñ havā siilī huī hai

    barahna-pā chalā jab se 'munavvar'

    to ik ik chiiz nokīlī huī hai

    ye shaKH-e-sabz jo pili hui hai

    har ek mausam mein tabdili hui hai

    hui hai shaKHsiyat be-ab apni

    faqat poshak bhaDkili hui hai

    kiya jab bhi nazar-andaz gham ko

    giraft-e-gham bahut Dhili hui hai

    lagi hai aag jab bhi jhonpaDi mein

    to dushman ek ek tili hui hai

    har ek aazad hai paband sa kuchh

    ghaTaon mein hawa sili hui hai

    barahna-pa chala jab se 'munawwar'

    to ek ek chiz nokili hui hai

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now